Sunday, October 17, 2010

Wo Kya hai

EK ehsaas jo tere hone ka hai wo kya hai,
Tu ho kar bhi pas nahi hai mere saath , wo kya hai.

Tu hai koi haquiqat ya koi fasana ,
tera mujhse juda juda rahna, wo kya hai.

Mere gham o khushi me tum sharique kyu ho,
Tumhara mujhse iss kadar rishta banana , wo kya hai.

tumhari koi haquiqat nahi, na koi shakl o surat hai,
fir kyu tumharai tasweer sochta hu bata do mujhe wo kya hai

Kahne ko dost aziz hai, kahi uss se bhi jyada kareeb hai
naam jo hai hamare rishte katum bata do wo kya hai

Mera to koi wazud o hashiyat nahi, usse mai Shahzaadi kahta hu,
Tum kaun ho? kya ho? ye to bata do, ye kya hai

Tum kahte ho ke tum ho sachche, fir bhi har haquiqat se gumshuda ho,
tumhare wazud ko mai talashta hu, bata do wo kya hai.

1 comment:

  1. chaahiye achchho.n ko jitanaa chaahiye
    ye agar chaahe.n to phir kyaa chaahiye

    ReplyDelete