Wednesday, August 25, 2010

Some Sher O Shayari Part 2

Waqt o haalat mazbur ye dil hai,
Hu tum bin tanha rota din raat ye dil hai,
Meri tassawwur o jana tu hi meri ruh me samai hai,
Aa jao meri jaan yahi awaaz dil se aati hai.



Tanha hue to kya par jigar ham bhi rakhte hain,
Gar na ho tumhe fursat to ummid ham bhi nahi rakhte hain,
Gar yaad aaye apne is aashique ki to beshaque yaad kar lena
Naa yaad kiya hamari jaan ne to to samjhenge k mil gaya hai koi unhe hamse pyara.



Waqt e intezaar se bebas hai dil,
Kitna kare bekarar ye rota rahta hai dil,
Tanhayian hi rehbar hai is lamhat zindagi me,
Aa jao ab ae zindagi k bahut tanha hai Ali.



Dekho aaj chand bhi tanha maayus ho ek ummid lagaye baitha hai.
Shayad use bhi hai intezaar kisi dilbar ka.
Wo puch raha hai tumse tumhare dil ki sada.
Kaisi ho meri jaan tum ho ke mujhse juda.
Baadlon ne koshish ki rok de chandani ko,
Par wo bhul gaye chandani ki ruh to hai chand me samayi hui.



Muqaddar ne muqarrar kar rakhi hai taqdeer hamari,
Meri chahat hai jo usme basi hai jaan hamari,
Puri ho jaye har dua hamari mohabbaton ki,
Kuchh tum bhi dua karo ae jaan apni iss Khusi ki .



Deedar e ishq ko tadapati hain aankhen,
Waqt guzaratein mehaz intezaar mein.
Zidd hamari hai unke rubaru tasawwur ki,
Ali ko hai manzoor shart ye mohabbat se.

No comments:

Post a Comment